Ghanay Darakht K Neechay Sula K Chor Gaya
Ajeeb Shaks Tha Sapnay Dikha K Chor Gaya
Yeah Ujra Ghar To Usii Aik Ki Nishaani Hai
Tu Apne Naam Ki Takhti Laga K Chor Gaya
Hum To Tinkay Chun Rahay Thay Aashiynay K Liyeah
Aap Say Kiss Nai Kaha Bijli Giranay K Liyeah
Haath Thak Jain gay Kiyoon Pees Rahay Ho Mehndi
Khoon Haazir Hai Hatheli Pay Laganay K Liyeah
Ishq Ko Dard E Sir Kehnay Walaoon Suno
Kuch Bhi Ho Hum Nai Yeah Dard E Sir Lay Liya
Woh Nigaahon Say Bach Ker Kahan Jain gay
Ub To Un K Mohallay Mein Ghar Lay Lia
Aa’ye Bun Thun K Shehr E Khamooshaan Mein Wo
Qabr Daikhi Jo Meri To Kehnay Lagay
Aray Aaj Itni To Is Ki Taraqqi Howi
Aik Bayghar Nai Acha Sa Ghar Lay Lia
Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi
Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Waloon
Zara Sooch Lo Kia Kahay Ga Zamana
Idhar Miaray Armaan Kafan Pehn Lain gay
Udhar Un K Haathon Pay Mehndi Lagay Gi
Woh Parday K Peechay Mein Parday K Aaagay
Na Woh Aain Aagay Na Mein Jaaon Peechay
Woh Aagay Barhein gay To Kuch Bhi Na Hoga
Mein Peechay Hatoon Ga To Dunya Hasay Gi
Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Idhar Mairay Dil Per Khanjar Chalay Ga
Udhar Un K Maathay Per Bindiya Sajay Gi
Abhi Un K Hasnay K Din Hein Wo Hasn Lain
Abhi Mairay Ronay K Din Hein Mein Ro Loon
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga
K Jiss Din Bhi Meri Mayyat Uthay Gi
Ataullah Khan Esakhelvi – Idhar Zindagi Ka Janaza Lyrics